Lab Pe Ati Hai Dua



A song by Muhammad Iqbal that is sung as the morning prayer in many schools in India and Pakistan. A child's prayer.

My wish comes to my lips as a prayer
May my life be like a candle O my Lord ...

My Lord, save me from wrong-doing
Make me walk on the path of virtue


Pakistani singer Siza sings this song here.

Get this widget Share Track details

lab pe ati hai dua ban ke tamanna meri
zindagi shamma ki surat ho Khudaya meri

Door duniya ka mere dam se andhera hojaye
Har jagah mere chamakne se ujala hojaye

ho mere dam se yun hi mere watan ki zeenat
jis tarah phul se hoti hai chaman ki zeenat

zindagi ho meri parwane ki surat ya rab
ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab

ho mera kaam garibon ki himayat karna
dard-mandon se zaifon se mohabbat karna

mere Allah burai se bachana mujhko
nek jo rah ho us rah pe chalana mujhko



Painting: Study for a Child's Prayer, by Diane Marsh

No comments: